Breaking

Friday 12 January 2018

ARRAY KYA HAI

January 12, 2018 0 Comments

Dosto aaj hum bat krenge ki Array kya hai.
Array ko c language, c++ and ect. me use kiya jata hai.

ARRAY KYA HAI
ARRAY KYA HAI

KYA HAI ARRAY :-

bhot si information ko ek single data-type me store krne ke liye hi hum array ka use krte hai, array bhi ek data-type hai.
C, C++ Programming language me array ka declaration and initialization same hi hota hai.

TYPES OF ARRAY :-

Generally array two types ke hote hai.

  1. Single Dimensional array.
  1. Multi Dimensional array.

SINGLE DIMENSIONAL ARRAY :-

  • Single dimensional array ek single line ki trah hota hai.
  • Single dimensional array ko ek variable ki trah hi kiya jata hai.
  • Single dimensional array me sabse phle data-type hi batana hota hai.
  • Syntax of single dimensional array:-
              <data-type> <array_name> [size];
Example of Single Dimensional array :-
  1. int
  1. float
  1. char
  1. etc
  • uske bad aap array ka naam de sakte ho jis naam se aap array banana chahte ho. or array ke naam ke sath aap array ka size bhi di jiye, array ka size [ ] ke andar likha jata hai. yhan array ka size run time pr change nhi hoga ek baar assign krne ke bad array ko declare or initialization kiya ja sakta hai, jisse size bhi fixed ho jata hai.
Examples :-
               int  iarr[3]    = {2, 3, 4};
               char carr[20]   ="c4learn";
               float farr[3]     = {12.5, 13.5, 14.5};

MULTI DIMENSIONAL ARRAY :-
  • Multi dimensional array me row and collumn dono hote hai.
  • Multi dimensional array ko ek matrix bhi bol sakte hai.

  • Multi dimensional array me row or column ka size fixe rhta hai.
  • Syntax of multi dimensional array :-
                <data-type><array_name>  [row][column];
Examples :-
                   int  a[3][3]   =     {1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9};
isme row or column ka size 3 hai.
isliye isme 3 rows or 3 column banegi.
  


Agar aapko hamara topic aacha laga to like kre or subscribe kren.


COMPUTER KYA HAI

January 12, 2018 2 Comments
COMPUTER KYA HAI
COMPUTER KYA HAI

Dosto mera naam rahul hai hum aaj aapse computer ke bare me bat krte hai computer kya hota hai or ye kaise kaam krta hai.
Computer ek electronics device hai jo arithmetic or logical operation ko solve krta hai, computer aaj ke time me apne aap me ek bhot bdi cheej hai jise aap apni life me puri nhi samaj sakte ,
computer ek eshi electronics device hai agar hum ek bacche se puche ki computer kya hai to vo khega ki computer ek game khelne ki machine hai or agar aap ek writer se puchoge ki computer kya hai to vo khega ki computer ek typing machine hai ishi trha computer ko abhi tk koi samaj nhi paya ki computer kya hai sb apne work ke according iski phchan rakhte hai.
computer hmare sb trha ke work ko solve kr ssakta hai.

FULL FORM OF COMPUTER :-

C   =    Common

O   =    Oriented
M  =     Machine
P    =    Particularly
U   =    United and user under
T    =    Technical And
E    =    Educational
R   =     Research

COMPUTER KYA HAI
COMPUTER KYA HAI

COMPUTER KA USE :-

  • Game khel sakte hai.
  • Net chla sakte hai.
  • Online form bhar sakte hai.
  • Job kr sakte hai.
  • Type writing kr sakte hai.
  • Kishi bhi trha ke question ka answer find kar sakte hai.
  • Kishi bhi hospital ya khin bhi worker ya all person ka data save kar sakte hai.
  • Student life me learning ke liye.
  • Aaj ke time me sab kaam computer.
  • Digital working.

Computer me eshi bhot sare software hai jinhe chlane se phle user ko kuch time ki coaching krni pdti hai, aaj ke time me computer ko sabhi work me use kiya ja sakta hai,

computer se hum kishi bhi type ki problem ko solve kr sakte hai vo bhi sabse fast isse hmara time bhi bacchta hai or koi bhi galti nhi hoti, ishi liye aaj ke time me computer bhot important hai.
Student life me iska use sabse jada hai, or Ab to hum computer pr work karke acchi money earn kr sakte hai.


Dosto Agar Aapko hamara topic accha lge to ise like or or comment kro.



Wednesday 10 January 2018

Apne phone ki battery life kaise bachaye

January 10, 2018 0 Comments
Dosto aaj hum bat krenge ki kishi bhi android phone ki battery life kaise bachaye or kaise jada time ke liye use kre.
Dosto maine dekha hai ki bhot se log bhot mhnge mhnge phone kharidte hai lekin vo dhyan nhi dete ki unki battery backup kitna hai, lekin bhot se phone me battery backup acha hone ke bad bhi unki battery bhot km time tk hi chalti hai me aapko btaunga esa kyu hota hai or isse kaise bacche or apne phone ki battery kaise bacchaye.

Apne phone ki battery life kaise bachaye
Apne phone ki battery life kaise bachaye

  1. Dosto aapne dekha hoga ki bhot se phone me ya samsung ke phone me SAVING BATTERY ka option diya hai aap uska use krke apne phone ki battery life ko kuch important work ke liye save kr sakte hai.
  2. Dosto hume apne phone ki brightness ko bhi km karke rakhna chahiye lekin utni brightness km kro jitne me aapko koi problem nhi ho kuki ye bhi hmare phone ki battery bhot jada use krta hai, agar koi bhi mobile use out door jata h to vo apne phone ki brightness ko full kr deta hai jisse hmare phone ki battery aadhe ghante me hi bhot jada khatam ho jati hai agar us brightness ko hum full na krke utni kre jitni hume chahiye usse hmare phone ki battery bacchegi.
  3. Dosto hume apne android phone ke vo network off krdene chahiye jise hum use nhi kr rhe, jb hum phone ko use krte hai to ek network use krta hai jo SIM ke according hota hai jaise AIRTEL, AIRCEL, IDEA, JIO & VODAFONE. lekin inke alawa bhi bhot se network hote hai hamare phne me jaise WIFI, BLUETOOTH, INTERNET, etc, jaise hum kisi dusre vyakti se kuch wifi ya koi file le rhe hai or use file ke transfer hone ke bad bhi hamara network on hai to vo hamari battery ko bhot jada use krega jisse hmare android phone ki attery bhot km ho jaegi, agar hum kaam khatam hone ke bad sare network ko off krdenge to hmare phone ki battery bachegi.
  4. Dosto aapne apne android phone me play store to dekha hoga, isme kuch setting hoti hai apps ko update krne keliye, to iski setting me apps update krne ki setting me automatically select hoga to isse bhi hmare phone ki battery use hoti hai, jese ki hum khin bhot dur ghumne ja rhe hai or hmare phone ki battery hai 80% or hmare phone me data on hai or hmare phone me kisi apps ki demand update ki ayi to vo apps apne aap update hone lgega kyuki apne uski setting me automatically select kiya hai jb apps update hoga to vo hmare phone ki battery ko bhot jada use krega jisse hmare phone ki battery bhot km hojaegi isliye aap ise automatically na rkho vase bhot se phone me ye phle se hi automatically rhta hai.
  5. Doso aapne notification ke bare me to suna hoga agar aapke phone me WHATSAPP, FACEBOOK & GMAIL hai to apke phone me side bar pr notification aati rhti hongi , to ye notification bhi hmare phone ki battery ko bhot jada use krte hai agar aapne koi important apps install kiya hai to uski notification on rkho or bai sb ki off krdo kyuki facebook ki notification to yhi hoti hai ki kisne aapko like kiya or kisne aapki post pr comment kiya ye sb faltu ki cheej hai jisse hmare phone ki battery km hoti hai inhe to hum free time me bhi check kr sakte hai to isliye aap ise off krdo.
  6. Dosto aapne android phone ya without android phone me dekha to hoga ki jum hum kisi bhtton pr push krte hai to bhot hali volume sunai deti hai jise key tune khte hai , bhot se phone me to jb phone ko on, off, switch off, switch on krte hai to bhot heavy tune hoti hai jaise china ke phone me hota tha ye bhi hmare phone ki battery ko bhot jada use krti hai, lekin hum in tune ko hta denge to bhi to hume phone acha lhega to fir ye kyu lgaye.
Apne phone ki battery life kaise bachaye
Apne phone ki battery life kaise bachaye

Agar hum in sb chijo ko hta denge to pkka aapke android phone ki battery life pr 50% farak jarur padega esa krke to dekho.

or agar aapko meri ye sb bat achi lage to ise share kro agar achi na lge to comment krke jarur btao ki acchi kyo nhi lagi hum or bhi mhnat ke liye hmesa tyar hai. 

Friday 5 January 2018

google account kaise banate hai

January 05, 2018 0 Comments
Dosto aaj hum bat krenge ke gmail account kaise banate hai, Dosto aaj ki date me gmail account bhot jada important hogya hai, kuch bhi krne se phle ek gmail account ki demand rhti hai isliye hume gmail bhot jaruri banana chahiye kyuki iski jarurat hume kisi bhi time or khin bhi ho sakti hai. Gmail account bhi ek google ka hi part hai jiske dwara kisi person ko uski identity milti hai jiske through use dhunda ja sakta hai, Gmail account ko hi google account ya ID bhi khte hai.

Gmail account ke fayde :-

  • Gmail account se hum koi bhi file khin bhi transfer kr sakte hai.
  • Gmail account se hum kisi bhi data ko store kr sakte hai.
  • new android phone ko chlane ke liye gmail account ki jarurat hoti hai, jiske baad hi hum play store se koi bhi apps le sakte hai.
  • Gmail account se hum aapne android phone ko dhund sakte hai.
  • Gmail account se hum messages or images bhi send kr sakte hai kisi bhi account pr.

Gmail account kaise banate hai :-

Dosto ab hum aapko ek new gmail account/id banakr dhikhate hai jiske dwara aap bhi ek new gmail account/id bana sakte hai, Dosto me ye aapko steps wise bataunga jisse aapko aasani se samaj me aajaye.

Step 1. kishi bhi browser ke search bar me jaakr www.gmail.com pr search kren, nhi to aap hamare is click pr click kr sakte ho isme humne direct link lagaya hai.

google account kaise banate hai
google account kaise banate hai

Step 2. Ab aapke samne ek window open hogi jime niche likha hoga create account to aapko us create account pr click krna hoga.


Step 3. Create account pr click krne ke bad aapke samne ek new window open hogi jisme aapko aapni information deni hogi, jesa aapko niche image me dikh rha hoga.

create new google account
create new google account
create new google account
create new google account

  1. isme aapke apna first name likhna hai.
  2. isme aapko apna second name likhna hai.
  3. isme aapko apna new username choose krna hai jo already kisi ne nhi liya ho.
  4. aapka apne new account ke liye ek acha sa password create krna hoga.
  5. isme aapko apna password dobara type krna hoga.
  6. isme aapko apni age ke according date of birth fill krna hoga phle mahina fir din or last me sal.
  7. isme apko apne gender select krna hoga.
  8. isme aapko country code ke sath apna mobile number bhi fill krna hoga.
  9. isme aapko koi phle bani hui account dalni ha jisspr aap apne new account ka backup le sako.
  10. isme aapko apni location select krni hoti hai ki aap khna pr rhte ho us jaghe ke location.
  11. ab aapko next step pr click krna hai.

Step 4. Sare block fill krne ke bad aapko next step pr click krna hoga.

Step 5. Next step pr click krne ke baad aapke samne ek new window open hogi process krne ke liye agar aap chaho to aap sare process ko read kr sakte ho nhi to aap I AGREE pr click krdo.

create new google account
create new google account

Step 6. I agree pr click krne ke bad aapke samne fir ek window open hogi jispr sabse upar WELCOME likha hoga jiska matlab hai ki aapka account create ho chuka hai. or usme niche likha hoga CONTINUE TO GMAIL  pr click krdo.

google account kaise banate hai
google account kaise banatey hai

Step 7. Ab continue to gmail account pr click krne ke baad aapka new gmail account open ho jaega.

Ab aap is Gmail account/id ki kisi bhi jgha use kr sakte ho sabhi jgha pr use kiye jane wale gmail account bhi same ishi trha hi createkiye jate hi.

Agar aap new gmail account create krne ke step shi trha se samaj me aye to please aap ise share kro or agar aapko gmain account create krne me kuch samaj nhi aya ho ya fir kuch bhi problem ayi ho to please aap mujse comments me pucho me hamesa aapke liye tyar rhunga.

JAB KREGA INDIA TBHI TO BADHEGA INDIA.