Breaking

Friday 5 January 2018

google account kaise banate hai

Dosto aaj hum bat krenge ke gmail account kaise banate hai, Dosto aaj ki date me gmail account bhot jada important hogya hai, kuch bhi krne se phle ek gmail account ki demand rhti hai isliye hume gmail bhot jaruri banana chahiye kyuki iski jarurat hume kisi bhi time or khin bhi ho sakti hai. Gmail account bhi ek google ka hi part hai jiske dwara kisi person ko uski identity milti hai jiske through use dhunda ja sakta hai, Gmail account ko hi google account ya ID bhi khte hai.

Gmail account ke fayde :-

  • Gmail account se hum koi bhi file khin bhi transfer kr sakte hai.
  • Gmail account se hum kisi bhi data ko store kr sakte hai.
  • new android phone ko chlane ke liye gmail account ki jarurat hoti hai, jiske baad hi hum play store se koi bhi apps le sakte hai.
  • Gmail account se hum aapne android phone ko dhund sakte hai.
  • Gmail account se hum messages or images bhi send kr sakte hai kisi bhi account pr.

Gmail account kaise banate hai :-

Dosto ab hum aapko ek new gmail account/id banakr dhikhate hai jiske dwara aap bhi ek new gmail account/id bana sakte hai, Dosto me ye aapko steps wise bataunga jisse aapko aasani se samaj me aajaye.

Step 1. kishi bhi browser ke search bar me jaakr www.gmail.com pr search kren, nhi to aap hamare is click pr click kr sakte ho isme humne direct link lagaya hai.

google account kaise banate hai
google account kaise banate hai

Step 2. Ab aapke samne ek window open hogi jime niche likha hoga create account to aapko us create account pr click krna hoga.


Step 3. Create account pr click krne ke bad aapke samne ek new window open hogi jisme aapko aapni information deni hogi, jesa aapko niche image me dikh rha hoga.

create new google account
create new google account
create new google account
create new google account

  1. isme aapke apna first name likhna hai.
  2. isme aapko apna second name likhna hai.
  3. isme aapko apna new username choose krna hai jo already kisi ne nhi liya ho.
  4. aapka apne new account ke liye ek acha sa password create krna hoga.
  5. isme aapko apna password dobara type krna hoga.
  6. isme aapko apni age ke according date of birth fill krna hoga phle mahina fir din or last me sal.
  7. isme apko apne gender select krna hoga.
  8. isme aapko country code ke sath apna mobile number bhi fill krna hoga.
  9. isme aapko koi phle bani hui account dalni ha jisspr aap apne new account ka backup le sako.
  10. isme aapko apni location select krni hoti hai ki aap khna pr rhte ho us jaghe ke location.
  11. ab aapko next step pr click krna hai.

Step 4. Sare block fill krne ke bad aapko next step pr click krna hoga.

Step 5. Next step pr click krne ke baad aapke samne ek new window open hogi process krne ke liye agar aap chaho to aap sare process ko read kr sakte ho nhi to aap I AGREE pr click krdo.

create new google account
create new google account

Step 6. I agree pr click krne ke bad aapke samne fir ek window open hogi jispr sabse upar WELCOME likha hoga jiska matlab hai ki aapka account create ho chuka hai. or usme niche likha hoga CONTINUE TO GMAIL  pr click krdo.

google account kaise banate hai
google account kaise banatey hai

Step 7. Ab continue to gmail account pr click krne ke baad aapka new gmail account open ho jaega.

Ab aap is Gmail account/id ki kisi bhi jgha use kr sakte ho sabhi jgha pr use kiye jane wale gmail account bhi same ishi trha hi createkiye jate hi.

Agar aap new gmail account create krne ke step shi trha se samaj me aye to please aap ise share kro or agar aapko gmain account create krne me kuch samaj nhi aya ho ya fir kuch bhi problem ayi ho to please aap mujse comments me pucho me hamesa aapke liye tyar rhunga.

JAB KREGA INDIA TBHI TO BADHEGA INDIA.



No comments:

Post a Comment